Ghazal sms

Ghazal sms 





aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina,
Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,
Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna,
Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,
Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,
Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina

------------------------------------------------  

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,


------------------------------------------------  

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey
Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey
Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey

------------------------------------------------ 

Wafa ruswa nahi karna…
Suno aisa nahi karna
Mai pehle hi akela hu
Muje tanha nhi karna,
Judai aa b jaye to
Ye dil chota nhi karna
Bohat musroof ho jana
Muje socha nhi karna,
Barosa b zarori hai
Magar sub ka nhi karna
Muqadar to muqadar hai
kabi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
muje adha ni karna
suno asa soocha nahi kerna.

------------------------------------------------ 

Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..

------------------------------------------------


Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say
Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say
Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say
Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say
Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say
Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!


------------------------------------------------


Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey
Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey
Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey
Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey
Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey
Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey
Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey
Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey
Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey

------------------------------------------------

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen
beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen
roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen
sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen
tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen


------------------------------------------------
Mrhaly Shoq Dushwar Hua
Krty Hain
.
.
Saye Bhi Raah Ki Dewar
Hua Krty Hain
.
.
Wo Jo Sach Bolty Rehny
Ki Qasam Khaty Hain
.
Wo Adalat Mein Gunah-
Gaar Hua Krty Hain
.
Sirf Hathon Ko Na Dekho
Kabhi Ankhain Bhi Parho
.
Kuch Sawali Barry Khud-
Daar Hua Krty Hain
.
Jin Ki Ankhon Mein
Sada Piyas K Sehra
Chamkain
.
Dar-Haqiqat Wohi Fankaar
Hua Krty Hain
.
Sharm Ati Hy K Dushman
Kisy Samjhain
.
Dushmani K Bhi Tou Maya’aar
Hua Krty Hain.
G(‘,’)(‘.’)D Night Dosto
------------------------------------------------

<"GAZAL">
Dil Ussi waqt Sambhal Jaaega,
Dil ka Haal Wo Poochay to Sahi.

Uski Nafrat b Mohabbat hogi,
Mery baary me Wo Sochay to Sahi.

Us k Qadmon me bicha doon Aankhain,
Mari Basti sy Wo Guzray to Sahi.

Us k Sub Jhoot b Such hongy .
Sirf baat itni hy k Wo bolay to Sahi,
------------------------------------------------

Tu mere pass na thi,
phr bhi sehr honay tak.
..

tera har saans mere jism
ko chhou kr guzra.
..

Qatra qtra tere didar ki
shabnam tapki…

Lamha lamha teri khushbo
se maotar guzra…
------------------------------------------------
Jan o Dil Beech Kay
Ahsaan Utaray Us Kay

Khud Ko Na Peid Kia
Naqsh Ubharay Us Kay

Wo Tu Yakta Tha Mager
Aalam-e-Tanhaii Main

Main Nay Ghabra Kay
Kali Naam Pukaray Us Kay
------------------------------------------------
Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye
Tumarey Dil mai thori si jaga chahye

Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey
Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye

Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain
Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye

Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA
Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe
------------------------------------------------
Ay KHUDA aik baar Mujhe us se mila dy,

Kitna chahta hn usay usk0 bata dy,

B0hat Naaz hai muje uski
M0habt pe,

W0‹3 h0 jaye mera,Aisa m0jza dikha de,

Agar w0 mera Naseeb ban nahi $akta T0,

Us k Qadmon ke khaak mujhe Bana dy,

Har pal dekh0n sapna bs usi ka,

Na jag00n phir aisi Neend mujhe sula de,

Ghut Ghut k jeena nahi chahta,

Ya w0 mil jaye mujhe,Ya mujhe Mitta dy…!

Ay khuda ek bar mujhe us se mila dy…
------------------------------------------------
Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

Bhanwar ghabra k khud mujh ko kinaray pr lga deta

Wo na ata magar itna to keh deta main Aaon ga

Sitaray, chand, Sara Aasman Raah ma bicha deta

Khabar hoti agar ye jaal hai Qismat ki sazish ka

Lakirain apne hathon ki main usi lamhe mita daita

Shajar hota to Tera naam Patton par likh likh kar

Tmharay shehar ki janib hawaon ma Urra deta

------------------------------------------------
AGAR MUJHE TUM MIL JATE,
TAU MUJHE KHUDA MIL JAATA,
SAARA JAHAN MERE NAAM HO JATA,
SAARI KHUSHIYA MUJHE MIL JATI,
BAHON MEIN APNI MAI TUJHE BHARE RAKHTA !!!

AGAR MUJHE TUM MIL JAATE,
TAU RONE KE KOI AASHIYANE NA HOTE,
TANHA KHUD KO HUM MEHSUS NA KARTE,
LAMHE YE SUHANE HUME NA MILTE !!!

AGAR MUJHE TUM MIL JATE,
TAU HUM TUMHARE LIYE,

SHAYARI NA LIKH PATE….

------------------------------------------------

Dil Kay Aangan Main 


Usay Kaho Ajeeb Bebasi Ka Mosam Hay Dil Kay Aangan Main..!

Taras Rahay Hain Ik Muddat Say Teray Sath Guftagoo Kay Liye…!!


Tum Main Pehli Si Baat Nahi


Us Nay Kaha Tum Main Pehli Si Baat Nahi

Main Nay Kaha Kay Zindagi Mein Ab Tera Saath Nahi

Us Nay Kaha Kay Ab Bhi Kisi Ki Aankhon Mein Doob Jaatay Ho

Main Nay Kaha Kay Ab Kisi Ki Aankhon Mein Wo Baat Nahi

Us Nay Kaha Kion Toot Kar Chaha Tha Mujhay

Main Nay Kaha Insaan Hoon Pathar Zaat To Nahi

Us Nay Kaha Main Bewafa Hoon

Main Nay Kaha Wafa Ki Ab Mujhay Talaash Nahi

Us Nay Kaha Bhool Ja Mujh Ko

Main Nay Kaha Tum Haqiqat Ho Khuwaab Nahi.


Jab Wo Chalta Hai 


Jab Wo Chalta Hai To Khushbo Ko Hawa Daita Hai
Mera Mehboob Mujhay Jeenay Ki Dua Daita Hai
Wo Meray Ghum Ka Sathi Hai Is Liay
Mera Har Ghum Apni Palkon Mein Chupa Laita Hai
Meri Auqaat Say Barh Kar Wo Mujhay Chahta Hai
Mujh Ko Chahat Kay Naye Tor Sikha Daita Hai
Us Ki Muhabat Ki Gehrai Ka Mujhay Ilm Nahi
Jab Kabhi Roye To Mujh Ko Bhi Rula Daita Hai
Hairan Hon Khud Apni Taqdeer Pay Main
Kay Kisi Ko Aisa Bhi Mehboob Khuda Daita Hai


Shareek-e-Ghum Howa Jo Meray Chot khaney ke baad


Shareek-e-Ghum Howa Jo Meray Chot Khanay Kay Baad

Kho Dia Main Nay Us Ko Paanay Kay Baad

Mujhay Naaz Raha Faqat Us Amal Par Sada

Us Nay Mujhay Apna Mana Azmany Kay Baad

Suna Hay Tarap Raha Hay Wo Meri Wafa Kay Liye

Shayad Pachta Raha Hay Mujhay Thukhranay Kay Baad

Aaj Youn Hi Sar-e-Rah Us Say Nazar Ja Mili

“Sagar”

Wo Ro Diya Mujh Say Nazar Milany Kay Baad

Kis Kis Ko Doun Ilzam Bewafai Ka

Har Koi Chor Gaya Mujh Ko Apnanay Kay Baad.



“…Ghazal…”

Bichrne se pehle mujhe seeney se lga kr jana.

Dil main atish e mohbat hai ise bhuja kr jana.

Mujhe tnhaion k dais main akela chor kar

Kyun nikla teri ankh se ansoo ye raaz bta kr jana.

Meri dewangi kahin tujhe badnaam na kr de

Is se pehle hi mar jaon koi aisi dua kr kay jana

.


 mohabbat adhori hai


SUNO!
Zindgi apni hans kar basar karna
Nafraton k raste pe na sfar krna
SUNO!
Wafa na ho to mohbat adhori hay
Mohabt k safar me wafa ki fikar karna
SUNO!
Zamana jitna b ho hamdard tumhara
Zamane ko na sharike safar karna.
SUNO!
Mohabat har kisi ka mukadar nahi hoti
Mile jo mohabat to is ki kadar karna.

saza dard-e-mohabbat ki

Woh Hi Mehsoos Karte Hein Saza Dard – e – Mohabbat Ki..,..
Jo Apni Zaat Se Ziyada Kisi Se”PYAAR”Karta Hai …..


Kitni shiddat se tumhe pane ki koshish ki hai ki,
Har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai,
Kehte hai agar kisi cheez ko dil se chaho toh,
Saari kayanath tumhe usse milane ki koshish mein lag jaati hai,
Aaj aap sabne milke mujhe meri chahat se milaya 

na moh na maya
Na moh na maya hai,
Dimag tumhi ko aaya hai,
Baith ke char panne palat lo beta,
Paper tumhari girlfriend ne nahi banaya hai. 

jismo jan pe haq tumhara hai
aaj tum kahte ho ki mere jismo jan pe hak tumhara hai
par hum kaise man le ki aap par hak humara hai
kyoki hum jaante hai ki aaj bhi apne
aashiq ki baho mei jane ka sapna tumhara hai
with my sweet hope
Sweet is my hope.
Pure is the life of my hope.
With my sweet hope
I try to reach the higher worlds.
With my pure hope
I try to fathom my inner worlds.
But alas,
In neither way do I succeed.
I fail,
I miserably fail.
jab rat ati hai

Mujhe sulane ke khatir jab raat aati hai,
Mein so nahi pata raat khud so jati hai,
Puchne per dil se yeh aawaz aati hai,
Aaj yaad karlo raat toh roz aati hai.

aur ek agnabi

Kyun kisi se itna pyaar ho jata hai,
Ek din ka intezar bhi dushwar ho jata hai,
Lagne lagte hai apne bhi paraye,
Aur ek ajnabi par aetbar ho jata hai.

chaman badal gaya hai

Panchi kehta hai ke gagan badal gaya hai,
Bhawra kehta hai ke chaman badal gaya hai,
Lekin aaj bhi shamshaan ki khamooshi yeh karti hai bayaan,
Ke laash wahi hai sirf kafan badal gaya hai.

teri tasweer nazar aai

Jab jab tumse milne ki tabdeer nazar aayi,
Aihsaas k pairoon taley janjeer nazar aayi,
Jab gaur kiya apne gidte hue asqoon pe,
Har ashq pe mujhe teri taswir nazar aayi.

chupa hua koi razz hai

Iss andhere raat ke pehlu mein chupa hua koi raaz hai.
Iss muskurahat me daba hua ek dard-e-saaz hai.
Soon sako to soon lo zubaan khamosh dil ki,
Iss khamoshi mein bhi koi gunjti huyee awaz hai.

gunjti hoi awaz hai

Iss andhere raat ke pehlu mein chupa hua koi raaz hai.
Iss muskurahat mein daba hua ek dard-e-saaz hai.
Soon sako to soon lo zubaan khamosh dil ki,
Iss khamoshi mein bhi koi gunjti huyee awaz hai.

rab sirf maseet vich nhe milda

“Kujh Bughz di reet vich nhen milda,
O’ haar ty jeet vich nhen milda,
Mkhloq-e-Khuda naal
pyar ty kr,
Rabb srf mseet vich nhen milda.”
(Sultan Bahoo

dil me utara hai

Woh bholta hai na dil mein utara hai
Mujhe hamesha mohobbat ka nasha hai
Main toh uska lamha-e-mojud hu
Woh shaks fuzul waqt samaj kar guzarta hai.

sochta hoon k baarish me na beh jaaye kahin,
usne ek ghar jo banaya hai meri aankhon mein.


 Main wohi hoon jisay


  Main wohi hoon jisay
tum dost kaha kartay
thay
ZAKHMI
Din mein so baar mera
naam liya kartay thay,
Aaj kya hay kiyoun mujh
say khaffa bhaithay ho,
Kya kissi aur ko Doost
bana bhaithay ho,
Faslay itnay to pehlay
na houa kartay thay,
Main wohi hoon jisay
tum doost kaha kartay
thay,
Tum ager bhool gaye
ho to koi baat nahi,
Zakhim to pehlay bhi
ess dil per laga kartay
thay,
Main wohi hoon jisay
tum doost kaha kartay
thay,
Dost kaha kartay thay.



   Ansoun ki tarha nazaron sa giraya us ne

Ansoun ki tarha nazaron se giraya us
ne Apni khabar na mili kuch aisay khak
me milaya us ne Ilzam mujhe pe lagaya
magar bewafa khud tha Pehle dewana
Banaya phir mujhe thukraya us ne Us
ko maza ata hai mujh ko sataney me
Mujhe geeli lakri ki tarha jalaya us
ne Aya na tha


     Bohat dn ho gay shayad sahara

Buhot dn ho gay shayad sahara kr lya usny
hamare bd b akhir gzara kr lya usny
hamara zikr to usky labon pe aa nahin sakta
hmen ehsas hy hm se kinara kr lya usny
wo basti ghair ki basti,
wo kocha ghair ka kocha
Suna hy ishq b ab to dobara kr lya usny
Suna hy ghair ki bahon ko wo apna samJhta hy
Ye lagta hy mere dukh ko gawara kr lya usny
bhula kr pyar ki qasmen wo waady tor kr
“SAHIL”
kisi ko zindgi se b pyara kr liya usny.


   Mere zindagi ko tamasha na bana......



Meri zindagi ko ik tamasha bana dia uss ne,
Bhari mehfil me tanha bitha dia us ne,
Aisi kya nafrat thi usay is masoom dil se,
Khushian chura kar gham thama dia us ne,
Bohat naaz tha uss ki wafa pe kabi ham ko,
Mujh hi ko meri nazron me gira dia us ne,
Khud bewafa tha meri wafa ki qadr kia karta,
Anmol tha main khak me mila dia us ne,
Kisi ko yaad karna to us ki fitrat me nahi,
Hawa ka jhonka samajh kar bhula dia us ne.

   Jb zindagi ki samag Ae......



Jb Zindage Ki Samj Ae
To Zindage Sy Dor Thy
Hum,
Marna Jb Chaha To Jene
Py Majbor Thy Hum,
Saza Jb Bhi Mili Ser Ko
Jhuka Lia,
Qsor Yay Tha K BeQsor
Thy Hum.

  kush apna lab-o-lahje ko tabdeel wo karta


phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta

yak tarfa takazay to nibae nhai jate

kuch apne faraaizki bhi tameel wo karta,

ilzamm lagata wo bare sho se par,

kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,

kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,

kuch khuwab mere khuab me tabdeel wo karta…..
kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta

      dard kaya hota hai batain ge kisi roz


Dard kia hota hai btayein gein kisi roz

Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k mai jaun unko manane

Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha

Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae

Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein

Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum

Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !


                


   Eid ghazal



*:*:*EID GHAZAL*:*:*
Usay Kehna K Lout
Aao Suna Hy Eid ae
Hai,
Ek Baar To A K Mil
Jao Suna Hy Eid ae
Hai,
Usay Kehna Bin Tere
Bohot Eidein Guzari
Hein,
Is Baar To Milne Aa
Jao Suna Hai Eid ae
Hai,
Usay Kehna Judai Sy
Mohabbat Kam Nae Hoti,
Yay Dunya Ko Batla
Jao K Sun Hai Eid ae
Hai,
Usay Kehna K Chahat Ka
Bharam Na Totne Dena,
Tum Pal Do Pal Hi Aa
Jao Suna Hai Eid ae
Hai,
Usay Kehna K Tanha
Hai Koi Eid K Din
Bhi, Yay Tanhai Mita
Jao Suna Hai Eid ae
Hai.
Eid Mubarik

Tum aao to hum bhi eid karen
Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen
Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen
Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen
Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai
Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen
Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain
Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain
Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.

                                      
   




















































































































































































































































































































































































































































































































No comments:

Post a Comment